dil mein achchha qayas pahna kar
dil meñ achchhā qayās pahnā kar
mere milne kī aas pahnā kar
terī rangat pe ḳhuub khiltā hai
zāfrānī libās pahnā kar
apne nāzuk gulāb hoñToñ par
guftugū mat udaas pahnā kar
āj-kal shahr meñ nikalte hue
saare hosh-o-havās pahnā kar
sab se behtar yahī hai dil ke liye
ik yaqīñ kī asaas pahnā kar
merā chehra ho terī āñkhoñ meñ
bas yahī lutf-e-ḳhās pahnā kar
ab ye mausam badal gayā 'ātir'
garmiyoñ meñ kapās pahnā kar
dil mein achchha qayas pahna kar
mere milne ki aas pahna kar
teri rangat pe KHub khilta hai
zafrani libas pahna kar
apne nazuk gulab honTon par
guftugu mat udas pahna kar
aaj-kal shahr mein nikalte hue
sare hosh-o-hawas pahna kar
sab se behtar yahi hai dil ke liye
ek yaqin ki asas pahna kar
mera chehra ho teri aankhon mein
bas yahi lutf-e-KHas pahna kar
ab ye mausam badal gaya 'atir'
garmiyon mein kapas pahna kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.