dil mein apne husn-e-alamgir dekh
dil meñ apne husn-e-ālamgīr dekh
aa.ine meñ yaar kī tasvīr dekh
kah rahe haiñ vo banā kar zulf ko
mujrimān-e-ishq kī zanjīr dekh
tujh ko aanā hī paḌā thā le jigar
dekh merī aah kī tāsīr dekh
ḳhat peshānī kā bhī miTtā hai kahīñ
ḳhāma-e-be-dast kī tahrīr dekh
un ke dīvānoñ meñ ham bhī jā mile
mil ga.ī zanjīr se zanjīr dekh
un ke zer-e-hukm saarī kā.enāt
kaisī hai ye qaid-e-be-zanjīr dekh
dekh hī lenā hai 'zā.iq' ko agar
har ġhazal hai us kī ik tasvīr dekh
dil mein apne husn-e-alamgir dekh
aaine mein yar ki taswir dekh
kah rahe hain wo bana kar zulf ko
mujriman-e-ishq ki zanjir dekh
tujh ko aana hi paDa tha le jigar
dekh meri aah ki tasir dekh
KHat peshani ka bhi miTta hai kahin
KHama-e-be-dast ki tahrir dekh
un ke diwanon mein hum bhi ja mile
mil gai zanjir se zanjir dekh
un ke zer-e-hukm sari kaenat
kaisi hai ye qaid-e-be-zanjir dekh
dekh hi lena hai 'zaiq' ko agar
har ghazal hai us ki ek taswir dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.