dil mein auron ke liye kina-o-kad rakhte hain
dil meñ auroñ ke liye kīna-o-kad rakhte haiñ
log iḳhlās ke parde meñ hasad rakhte haiñ
aap se haath milāte hue Dar lagtā hai
aap to pyaar ke rishtoñ meñ bhī had rakhte haiñ
ye zarūrī nahīñ dil un ke hoñ haq se ma.amūr
vo jo chehroñ pe ibādat kī sanad rakhte haiñ
kyā pata kab kisī rishte kā bharosa TuuTe
aise logoñ se na miliye jo hasad rakhte haiñ
dafn ho jaa.e na ehsās-e-mohabbat dil meñ
ab kahāñ dil kā ḳhayāl ahl-e-ḳhirad rakhte haiñ
kaun hotā hai musībat meñ kisī kā 'sālim'
ham abas aap se ummīd-e-madad rakhte haiñ
dil mein auron ke liye kina-o-kad rakhte hain
log iKHlas ke parde mein hasad rakhte hain
aap se hath milate hue Dar lagta hai
aap to pyar ke rishton mein bhi had rakhte hain
ye zaruri nahin dil un ke hon haq se mamur
wo jo chehron pe ibaadat ki sanad rakhte hain
kya pata kab kisi rishte ka bharosa TuTe
aise logon se na miliye jo hasad rakhte hain
dafn ho jae na ehsas-e-mohabbat dil mein
ab kahan dil ka KHayal ahl-e-KHirad rakhte hain
kaun hota hai musibat mein kisi ka 'salim'
hum abas aap se ummid-e-madad rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.