dil mein be-nam si KHushi hai abhi
dil meñ be-nām sī ḳhushī hai abhī
zindagī mere kaam kī hai abhī
maiñ bhī tujh se bichhaḌ ke sargardāñ
terī āñkhoñ meñ bhī namī hai abhī
dil kī sunsān rahguzāroñ par
maiñ ne ik chīḳh sī sunī hai abhī
maiñ ne maanā bahut añdherā hai
phir bhī thoḌī sī raushnī hai abhī
apne aañsū 'amīr' kyuuñ poñchhūñ
in charāġhoñ meñ raushnī hai abhī
dil mein be-nam si KHushi hai abhi
zindagi mere kaam ki hai abhi
main bhi tujh se bichhaD ke sargardan
teri aankhon mein bhi nami hai abhi
dil ki sunsan rahguzaron par
main ne ek chiKH si suni hai abhi
main ne mana bahut andhera hai
phir bhi thoDi si raushni hai abhi
apne aansu 'amir' kyun ponchhun
in charaghon mein raushni hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.