dil mein bikhre hue jalon se pareshan na ho
dil meñ bikhre hue jāloñ se pareshān na ho
mere guzre hue sāloñ se pareshān na ho
merī āvāz kī talḳhī ko gavāra kar le
mere gustāḳh savāloñ se pareshān na ho
maiñ ne maanā tirī āñkheñ nahīñ khultī haiñ magar
din nikalne de ujāloñ se pareshān na ho
apnī zulfoñ meñ utartī huī chāñdī ko chhupā
mere bikhre hue bāloñ se pareshān na ho
ai na.ī dost maiñ bharpūr huā huuñ terā
mere maazī ke havāloñ se pareshān na ho
dekh yuuñ duur na ho mujh ko lagā le dil se
tū mirī ruuh ke chhāloñ se pareshān na ho
ḳhud ko vīrān na kar mere liye jaan mirī
in pareshān ḳhayāloñ se pareshān na ho
dil mein bikhre hue jalon se pareshan na ho
mere guzre hue salon se pareshan na ho
meri aawaz ki talKHi ko gawara kar le
mere gustaKH sawalon se pareshan na ho
main ne mana teri aankhen nahin khulti hain magar
din nikalne de ujalon se pareshan na ho
apni zulfon mein utarti hui chandi ko chhupa
mere bikhre hue baalon se pareshan na ho
ai nai dost main bharpur hua hun tera
mere mazi ke hawalon se pareshan na ho
dekh yun dur na ho mujh ko laga le dil se
tu meri ruh ke chhaalon se pareshan na ho
KHud ko viran na kar mere liye jaan meri
in pareshan KHayalon se pareshan na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.