dil mein dhaDkan lab mein jumbish chahiye
dil meñ dhaḌkan lab meñ jumbish chāhiye
zinda rahne ko ye varzish chāhiye
aadmī hone kā dene ko subūt
paañv meñ thoḌī sī laġhzish chāhiye
baiThe baiThe qismateñ bantī nahīñ
azm mehnat aur koshish chāhiye
imtizāj-e-aish-o-ġham hai zindagī
laakh ḳhushiyāñ bhī hoñ ranjish chāhiye
'hāfiz' us ko justujū sūraj kī hai
aur tumheñ bhī ek mahvish chāhiye
dil mein dhaDkan lab mein jumbish chahiye
zinda rahne ko ye warzish chahiye
aadmi hone ka dene ko subut
panw mein thoDi si laghzish chahiye
baiThe baiThe qismaten banti nahin
azm mehnat aur koshish chahiye
imtizaj-e-aish-o-gham hai zindagi
lakh KHushiyan bhi hon ranjish chahiye
'hafiz' us ko justuju suraj ki hai
aur tumhein bhi ek mahwish chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.