dil mein dildar nihan tha mujhe malum na tha
dil meñ dildār nihāñ thā mujhe ma.alūm na thā
idhar-udhar meñ davāñ thā mujhe ma.alūm na thā
sar-ba-sar anfus-o-āfāq meñ hai us kā zuhūr
parda us ruḳh kā ayaañ thā mujhe ma.alūm na thā
sahal samjhā thā maiñ hālāñ ki ye ishq-e-zālim
vaqf ḳhūnīñ-jigrāñ kā thā mujhe mālūm na thā
ba.ad muddat dil-e-gumrāh se maiñ ne jo milā
kahā ro ro ke kahāñ thā mujhe ma.alūm na thā
mashrab-e-āshiq-e-be-nām-o-nishāñ maiñ 'āgāh'
lā-makāñ ain makāñ thā mujhe ma.alūm na thā
dil mein dildar nihan tha mujhe malum na tha
idhar-udhar mein dawan tha mujhe malum na tha
sar-ba-sar anfus-o-afaq mein hai us ka zuhur
parda us ruKH ka ayan tha mujhe malum na tha
sahal samjha tha main haalan ki ye ishq-e-zalim
waqf KHunin-jigran ka tha mujhe malum na tha
baad muddat dil-e-gumrah se main ne jo mila
kaha ro ro ke kahan tha mujhe malum na tha
mashrab-e-ashiq-e-be-nam-o-nishan main 'agah'
la-makan ain makan tha mujhe malum na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.