dil mein hamare uski mohabbat shadid thi
dil meñ hamāre us kī mohabbat shadīd thī
yaanī ki ārzū-e-qayāmat shadīd thī
tārīḳh se na ham ne liyā koī bhī sabaq
goyā jahāñ kī ishq pe la.anat shadīd thī
hotā rahā yaqīn marāsim pe bārhā
jab tak na in ke biich siyāsat shadīd thī
farhād jū-e-shīr ko laane meñ chuk gayā
phir bhī milī matā.a-e-malāmat shadīd thī
kuttoñ ke bhauñkne se mirī raat kaT ga.ī
yādoñ kī varna aaj aziyyat shadīd thī
dil mein hamare us ki mohabbat shadid thi
yani ki aarzu-e-qayamat shadid thi
tariKH se na hum ne liya koi bhi sabaq
goya jahan ki ishq pe lanat shadid thi
hota raha yaqin marasim pe barha
jab tak na in ke bich siyasat shadid thi
farhad ju-e-shir ko lane mein chuk gaya
phir bhi mili mataa-e-malamat shadid thi
kutton ke bhaunkne se meri raat kaT gai
yaadon ki warna aaj aziyyat shadid thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.