dil mein har-chand aarzu thi bahut
dil meñ har-chand aarzū thī bahut
kaam thoḌā thā guftugū thī bahut
sañg-e-manzil ye chheḌtā hai mujhe
aa tujhe merī justujū thī bahut
ai havas! dekh daaġh daaġh jigar
tū bhī mushtāq-e-rang-o-bū thī bahut
kaun hai jis se maiñ nahīñ uljhā
go mirī tab' sulh-jū thī bahut
baḌh ga.ī tujh se mil ke tanhā.ī
ruuh jūyā-e-ham-subū thī bahut
ik tirī hī nigāh meñ na jache
shahr meñ varna aabrū thī bahut
dil mein har-chand aarzu thi bahut
kaam thoDa tha guftugu thi bahut
sang-e-manzil ye chheDta hai mujhe
aa tujhe meri justuju thi bahut
ai hawas! dekh dagh dagh jigar
tu bhi mushtaq-e-rang-o-bu thi bahut
kaun hai jis se main nahin uljha
go meri tab' sulh-ju thi bahut
baDh gai tujh se mil ke tanhai
ruh juya-e-ham-subu thi bahut
ek teri hi nigah mein na jache
shahr mein warna aabru thi bahut
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 401)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.