dil mein har-chand hai KHayal us ka
dil meñ har-chand hai ḳhayāl us kā
nazar aatā nahīñ jamāl us kā
vo jo thī be-ḳhudī so hai maujūd
hijr se kam nahīñ visāl us kā
ho chukā hai jigar-pasand mizha
dil ko māñge hai ḳhatt-o-ḳhāl us kā
shaiḳh agar sāmne ho mastoñ ke
nazar aa jaa.e sab kamāl us kā
ham paḌe ik zavāl meñ 'joshish'
dekh kar husn-e-zavāl us kā
dil mein har-chand hai KHayal us ka
nazar aata nahin jamal us ka
wo jo thi be-KHudi so hai maujud
hijr se kam nahin visal us ka
ho chuka hai jigar-pasand mizha
dil ko mange hai KHatt-o-KHal us ka
shaiKH agar samne ho maston ke
nazar aa jae sab kamal us ka
hum paDe ek zawal mein 'joshish'
dekh kar husn-e-zawal us ka
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.