dil mein har-waqt yas rahti hai
Interesting Fact
1939
dil meñ har-vaqt yaas rahtī hai
ab tabī.at udaas rahtī hai
un se milne kī go nahīñ sūrat
un se milne kī aas rahtī hai
maut se kuchh nahīñ ḳhatar mujh ko
vo to har-vaqt paas rahtī hai
āb-e-haivāñ jise bujhā na sake
zindagī ko vo pyaas rahtī hai
dil to jalvoñ se bad-havās hī thā
aañkh bhī bad-havās rahtī hai
un kī sūrat ajab hai sho.abada-bāz
duur rah kar bhī paas rahtī hai
dil kahāñ 'arsh' ab to pahlū meñ
ek tasvīr-e-yās rahtī hai
dil mein har-waqt yas rahti hai
ab tabiat udas rahti hai
un se milne ki go nahin surat
un se milne ki aas rahti hai
maut se kuchh nahin KHatar mujh ko
wo to har-waqt pas rahti hai
aab-e-haiwan jise bujha na sake
zindagi ko wo pyas rahti hai
dil to jalwon se bad-hawas hi tha
aankh bhi bad-hawas rahti hai
un ki surat ajab hai shoabada-baz
dur rah kar bhi pas rahti hai
dil kahan 'arsh' ab to pahlu mein
ek taswir-e-yas rahti hai
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 20)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.