dil mein hasrat ka dagh jalta hai
dil meñ hasrat kā daaġh jaltā hai
yā haram meñ charāġh jaltā hai
ab ḳhirad bhī junūñ kī raah lagī
dil to dil hai dimāġh jaltā hai
yaad aatī hai ārzūoñ kī
dil kā ek-ek daaġh jaltā hai
phuul haiñ yā dahakte angāre
fasl-e-gul hai ki baaġh jaltā hai
yaas meñ bhī ye hausla dil kā
tīrgī meñ charāġh jaltā hai
ab nasheman kī ḳhair ho yārab
sho.ala-e-gul se baaġh jaltā hai
dil mein hasrat ka dagh jalta hai
ya haram mein charagh jalta hai
ab KHirad bhi junun ki rah lagi
dil to dil hai dimagh jalta hai
yaad aati hai aarzuon ki
dil ka ek-ek dagh jalta hai
phul hain ya dahakte angare
fasl-e-gul hai ki bagh jalta hai
yas mein bhi ye hausla dil ka
tirgi mein charagh jalta hai
ab nasheman ki KHair ho yarab
shoala-e-gul se bagh jalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.