dil mein ek iztirab hai paiham
dil meñ ik iztirāb hai paiham
chashm-e-hairāñ pur-āb hai paiham
un ke ruḳh par naqāb hai paiham
shauq nā-kāmyāb hai paiham
dil hai pahlū meñ sho.ala-e-betāb
jaan par ik azaab hai paiham
tū hī aa kar jagā de ab us ko
baḳht masrūf-e-ḳhvāb hai paiham
dahr meñ us kī mast āñkhoñ se
ik na ik inqalāb hai paiham
vo udhar chup ḳhamosh maiñ huuñ idhar
yuuñ savāl-o-javāb hai paiham
chashm-e-maigūñ kā hai 'valī' shaidā
ya.anī be-mai ḳharāb hai paiham
dil mein ek iztirab hai paiham
chashm-e-hairan pur-ab hai paiham
un ke ruKH par naqab hai paiham
shauq na-kaamyab hai paiham
dil hai pahlu mein shoala-e-betab
jaan par ek azab hai paiham
tu hi aa kar jaga de ab us ko
baKHt masruf-e-KHwab hai paiham
dahr mein us ki mast aankhon se
ek na ek inqalab hai paiham
wo udhar chup KHamosh main hun idhar
yun sawal-o-jawab hai paiham
chashm-e-maigun ka hai 'wali' shaida
yani be-mai KHarab hai paiham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.