dil mein ek qabr har ek hasrat-e-nakaam ke baad
dil meñ ik qabr har ik hasrat-e-nākām ke baad
aur ik shauq-e-kalām āḳhirī paiġhām ke baad
shaam Dhalte hī charāġhoñ ko bujhāyā maiñ ne
koī parvāna nahīñ marne diyā shaam ke baad
haa.e afsos sad-afsos mire hoñToñ par
ek bhī naam nahīñ Thahrā tire naam ke baad
zauq kuchh miT sā gayā us ke chale jaane se
koī bhāyā na mujhe us parī-andām ke baad
ik tajassus huā kartā hai bure kaam se qabl
ek pachhtāvā bure kaam ke anjām ke baad
koī bhī jurm na ho jurm-e-mohabbat ke sivā
koī ilzām na ho ishq ke ilzām ke baad
ab to fursat bhī mire vāste nāpaid hai dost
ik nayā kaam nikal aatā hai har kaam ke baad
dil mein ek qabr har ek hasrat-e-nakaam ke baad
aur ek shauq-e-kalam aaKHiri paigham ke baad
sham Dhalte hi charaghon ko bujhaya main ne
koi parwana nahin marne diya sham ke baad
hae afsos sad-afsos mere honTon par
ek bhi nam nahin Thahra tere nam ke baad
zauq kuchh miT sa gaya us ke chale jaane se
koi bhaya na mujhe us pari-andam ke baad
ek tajassus hua karta hai bure kaam se qabl
ek pachhtawa bure kaam ke anjam ke baad
koi bhi jurm na ho jurm-e-mohabbat ke siwa
koi ilzam na ho ishq ke ilzam ke baad
ab to fursat bhi mere waste napaid hai dost
ek naya kaam nikal aata hai har kaam ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.