dil mein jamal-e-yar ki tanwir dekhiye
dil meñ jamāl-e-yār kī tanvīr dekhiye
is aa.ine meñ sūrat-e-tasvīr dekhiye
rusvā tamām ḳhalq meñ hoñ yā zalīl hoñ
kyā din dikhā.e nāla-e-shab-gīr dekhiye
banda kahāñ janāb kahāñ ye makāñ kahāñ
maqsūm dekhiye mirī taqdīr dekhiye
ab ke jo haul-e-dil ho to ye kījiye ilaaj
siine pe rakh ke yaar ke tasvīr dekhiye
darvāza kholiye mujhe ghar meñ bulā.iye
kab se hilā rahā huuñ maiñ zanjīr dekhiye
hai qasr-e-tan meñ ra.asha-e-pīrī se zalzala
girtī hai koī dam meñ ye ta.amīr dekhiye
kūche meñ aap ke mire miTTī ḳharāb hai
barbād ho rahī hai ye iksīr dekhiye
jallād se kaho ki na pūchhe vasiyyateñ
hotī hai mere qatl meñ tāḳhīr dekhiye
mahshar meñ bhī huā na mirā un kā faisla
tūl-e-kalām-o-vus.at-e-taqrīr dekhiye
dil aap kā to kyā hai abhī arsh tak hile
manzūr ho to aah kī tāsīr dekhiye
bīmār ho ke bosa-e-unnāb-e-lab liyā
mujh ko na dekhiye mirī tadbīr dekhiye
jab bosa māñgtā huuñ maiñ karte ho hujjateñ
itne se muñh pe aur ye taqrīr dekhiye
piirī meñ ham ko ishq-e-mizha kā ḳhayāl hai
hotī hai ye kamān hadaf tiir dekhiye
manzūr imtihān hai baḳhshish kā aap ke
kartā huuñ kis umiid pe taqsīr dekhiye
dil mein jamal-e-yar ki tanwir dekhiye
is aaine mein surat-e-taswir dekhiye
ruswa tamam KHalq mein hon ya zalil hon
kya din dikhae nala-e-shab-gir dekhiye
banda kahan janab kahan ye makan kahan
maqsum dekhiye meri taqdir dekhiye
ab ke jo haul-e-dil ho to ye kijiye ilaj
sine pe rakh ke yar ke taswir dekhiye
darwaza kholiye mujhe ghar mein bulaiye
kab se hila raha hun main zanjir dekhiye
hai qasr-e-tan mein rasha-e-piri se zalzala
girti hai koi dam mein ye tamir dekhiye
kuche mein aap ke mere miTTi KHarab hai
barbaad ho rahi hai ye iksir dekhiye
jallad se kaho ki na puchhe wasiyyaten
hoti hai mere qatl mein taKHir dekhiye
mahshar mein bhi hua na mera un ka faisla
tul-e-kalam-o-wusat-e-taqrir dekhiye
dil aap ka to kya hai abhi arsh tak hile
manzur ho to aah ki tasir dekhiye
bimar ho ke bosa-e-unnab-e-lab liya
mujh ko na dekhiye meri tadbir dekhiye
jab bosa mangta hun main karte ho hujjaten
itne se munh pe aur ye taqrir dekhiye
piri mein hum ko ishq-e-mizha ka KHayal hai
hoti hai ye kaman hadaf tir dekhiye
manzur imtihan hai baKHshish ka aap ke
karta hun kis umid pe taqsir dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.