dil mein jo baat hai batate nahin
dil meñ jo baat hai batāte nahīñ
duur tak ham kahīñ bhī jaate nahīñ
aks kuchh der tak nahīñ rukte
bojh ye aa.ine uThāte nahīñ
ye nasīhat bhī log karne lage
is tarah muft dil gañvāte nahīñ
duur bastī pe hai dhuāñ kab se
kyā jalā hai jise bujhāte nahīñ
chhoḌ dete haiñ ik sharar benām
aag lag jaatī hai lagāte nahīñ
bhuul jaanā bhī ab nahīñ āsāñ
varna ye ḳhiffateñ uThāte nahīñ
aap apne meñ jalte bujhte haiñ
ye tamāshā kahīñ dikhāte nahīñ
dil mein jo baat hai batate nahin
dur tak hum kahin bhi jate nahin
aks kuchh der tak nahin rukte
bojh ye aaine uThate nahin
ye nasihat bhi log karne lage
is tarah muft dil ganwate nahin
dur basti pe hai dhuan kab se
kya jala hai jise bujhate nahin
chhoD dete hain ek sharar benam
aag lag jati hai lagate nahin
bhul jaana bhi ab nahin aasan
warna ye KHiffaten uThate nahin
aap apne mein jalte bujhte hain
ye tamasha kahin dikhate nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.