dil mein jo KHala tha bhar gaya kya
dil meñ jo ḳhalā thā bhar gayā kyā
sailāb-e-junūñ utar gayā kyā
āñkhoñ meñ ḳhvāb jal rahe haiñ
bārish kā samay guzar gayā kyā
shahroñ meñ rat-jage bahut haiñ
zehnoñ kā sukūñ bikhar gayā kyā
ārām kī niiñd sone vaalo
andesha-e-ham-safar gayā kyā
hamsā.e meñ bhuuk jāgtī hai
merā bhī zamīr mar gayā kyā
dil mein jo KHala tha bhar gaya kya
sailab-e-junun utar gaya kya
aankhon mein KHwab jal rahe hain
barish ka samay guzar gaya kya
shahron mein rat-jage bahut hain
zehnon ka sukun bikhar gaya kya
aaram ki nind sone walo
andesha-e-ham-safar gaya kya
hamsae mein bhuk jagti hai
mera bhi zamir mar gaya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.