dil mein junun-e-ishq jagane ka waqt hai
dil meñ junūn-e-ishq jagāne kā vaqt hai
ab ain shiin qaaf milāne kā vaqt hai
ahl-e-suḳhan kī shaan baḌhāne kā vaqt hai
ab diip chāhatoñ ke jalāne kā vaqt hai
ab is ke baad khel na khele koī yahāñ
maidān meñ husain ke aane kā vaqt hai
ta.abīr kī sahar ne sadā dī hai phir unheñ
bistar pe so.e ḳhvāb jagāne kā vaqt hai
tum pūchhte ho kis liye maḳhmūr ham hue
mai-kash yahī to pyaas bujhāne kā vaqt hai
ḳhud ko navā-e-soz meñ mat Dhālo shā.iro
iqbāl kī ḳhudī ko baḌhāne kā vaqt hai
ḳhushbū tamām shahr meñ phaile ho āshtī
taḳhlīq meñ vo lafz sajāne kā vaqt hai
dil mein junun-e-ishq jagane ka waqt hai
ab ain shin qaf milane ka waqt hai
ahl-e-suKHan ki shan baDhane ka waqt hai
ab dip chahaton ke jalane ka waqt hai
ab is ke baad khel na khele koi yahan
maidan mein husain ke aane ka waqt hai
tabir ki sahar ne sada di hai phir unhen
bistar pe soe KHwab jagane ka waqt hai
tum puchhte ho kis liye maKHmur hum hue
mai-kash yahi to pyas bujhane ka waqt hai
KHud ko nawa-e-soz mein mat Dhaalo shairo
iqbaal ki KHudi ko baDhane ka waqt hai
KHushbu tamam shahr mein phaile ho aashti
taKHliq mein wo lafz sajaane ka waqt hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.