dil mein kuchh aise gham-e-ishq ko pala jae
dil meñ kuchh aise ġham-e-ishq ko paalā jaa.e
lab se nikle to falak tak mirā naala jaa.e
kashti-e-dil ko na ab aur uchhālā jaa.e
ab ye dariyā mirī āñkhoñ se nikālā jaa.e
Taale jā sakte haiñ aksar ka.ī barham lamhāt
vaqt rahte hī agar un ko sañbhālā jaa.e
aaj bhī mujh ko yaqīñ hai vo madad kar degā
le ke us tak jo koī merā havāla jaa.e
har taġhāful ko ta'alluq meñ badalne ke liye
kabhī ehsās-e-takabbur ko hī Taalā jaa.e
din hai vo jis se añdheroñ ko jalan hotī hai
raat hai jis ke ta.āqub meñ ujālā jaa.e
kabhī ashkoñ ko bhī kuchh dard uThāne diije
dil kā har bojh tabassum pe na Daalā jaa.e
vo jo sahrā meñ haiñ be-barg 'hinā' chand shajar
kaash us samt bhī phūloñ kā risāla jaa.e
dil mein kuchh aise gham-e-ishq ko pala jae
lab se nikle to falak tak mera nala jae
kashti-e-dil ko na ab aur uchhaala jae
ab ye dariya meri aankhon se nikala jae
Tale ja sakte hain aksar kai barham lamhat
waqt rahte hi agar un ko sanbhaala jae
aaj bhi mujh ko yaqin hai wo madad kar dega
le ke us tak jo koi mera hawala jae
har taghaful ko ta'alluq mein badalne ke liye
kabhi ehsas-e-takabbur ko hi Tala jae
din hai wo jis se andheron ko jalan hoti hai
raat hai jis ke taaqub mein ujala jae
kabhi ashkon ko bhi kuchh dard uThane dije
dil ka har bojh tabassum pe na Dala jae
wo jo sahra mein hain be-barg 'hina' chand shajar
kash us samt bhi phulon ka risala jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.