dil mein kya kya hawas-e-did baDhai na gai
dil meñ kyā kyā havas-e-dīd baḌhā.ī na ga.ī
rū-ba-rū un ke magar aañkh uThā.ī na ga.ī
ham razā-sheva haiñ tāvīl-e-sitam ḳhud kar leñ
kyā huā un se agar baat banā.ī na ga.ī
ye bhī ādāb-e-mohabbat ne gavārā na kiyā
un kī tasvīr bhī āñkhoñ se lagā.ī na ga.ī
aah vo aañkh jo har samt rahī sā.iqa-pāsh
vo jo mujh se kisī unvān milā.ī na ga.ī
ham se pūchhā na gayā nām-o-nishāñ bhī un kā
justujū kī koī tamhīd uThā.ī na ga.ī
dil ko thā hausla-e-arz-e-tamannā so unheñ
sarguzisht-e-shab-e-hijrāñ bhī sunā.ī na ga.ī
ġham-e-dūrī ne kashākash to bahut kī lekin
yaad un kī dil-e-'hasrat' se bhulā.ī na ga.ī
dil mein kya kya hawas-e-did baDhai na gai
ru-ba-ru un ke magar aankh uThai na gai
hum raza-shewa hain tawil-e-sitam KHud kar len
kya hua un se agar baat banai na gai
ye bhi aadab-e-mohabbat ne gawara na kiya
un ki taswir bhi aankhon se lagai na gai
aah wo aankh jo har samt rahi saiqa-pash
wo jo mujh se kisi unwan milai na gai
hum se puchha na gaya nam-o-nishan bhi un ka
justuju ki koi tamhid uThai na gai
dil ko tha hausla-e-arz-e-tamanna so unhen
sarguzisht-e-shab-e-hijran bhi sunai na gai
gham-e-duri ne kashakash to bahut ki lekin
yaad un ki dil-e-'hasrat' se bhulai na gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.