dil mein kyon hain talKHiyan hum kya kahen
dil meñ kyoñ haiñ talḳhiyāñ ham kyā kaheñ
dāstān-e-jism-o-jāñ ham kyā kaheñ
rahzanoñ kī uñgliyoñ ko thaam kar
chal rahā hai kārvāñ ham kyā kaheñ
phuus kā thā bach na paayā aag se
jal gayā vo jo makāñ ham kyā kaheñ
milte kis se pūchhte bhī kis se ham
sāmne thā bas dhuāñ ham kyā kaheñ
tum shikāyat laa.e kis kī apne paas
vo to hai ik be-zabāñ ham kyā kaheñ
ek arse se hamāre dil meñ bhī
raaz us kā hai nihāñ ham kyā kaheñ
DhūñDte haiñ zindagī ko vo 'nazar'
ho ga.ī gum vo kahāñ ham kyā kaheñ
dil mein kyon hain talKHiyan hum kya kahen
dastan-e-jism-o-jaan hum kya kahen
rahzanon ki ungliyon ko tham kar
chal raha hai karwan hum kya kahen
phus ka tha bach na paya aag se
jal gaya wo jo makan hum kya kahen
milte kis se puchhte bhi kis se hum
samne tha bas dhuan hum kya kahen
tum shikayat lae kis ki apne pas
wo to hai ek be-zaban hum kya kahen
ek arse se hamare dil mein bhi
raaz us ka hai nihan hum kya kahen
DhunDte hain zindagi ko wo 'nazar'
ho gai gum wo kahan hum kya kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.