dil mein liye auham ko is ghar se uTha main
dil meñ liye auhām ko is ghar se uThā maiñ
ḳhālī kahāñ but-ḳhāna-e-āzar se uThā maiñ
yuuñ hai ki zabardastī uThāyā gayā mujh ko
aise to nahīñ kū-e-sitamgar se uThā maiñ
ahbāb meñ dil khol ke ab jashn manā le
le aaj tire sahn-e-muattar se uThā maiñ
ik bojh uThā.e hue āñkhoñ meñ kaTī shab
ik ism ko paḌhte hue bistar se uThā maiñ
tū ālam-e-rūyā meñ mujhe chhoḌ ke palTā
phir chauñk ke ḳhud apne barābar se uThā maiñ
thāmūñgā nahīñ ab ke munājāt kā dāman
dil tujh se uThā aur tire dar se uThā maiñ
dil mein liye auham ko is ghar se uTha main
KHali kahan but-KHana-e-azar se uTha main
yun hai ki zabardasti uThaya gaya mujh ko
aise to nahin ku-e-sitamgar se uTha main
ahbab mein dil khol ke ab jashn mana le
le aaj tere sahn-e-muattar se uTha main
ek bojh uThae hue aankhon mein kaTi shab
ek ism ko paDhte hue bistar se uTha main
tu aalam-e-ruya mein mujhe chhoD ke palTa
phir chaunk ke KHud apne barabar se uTha main
thamunga nahin ab ke munajat ka daman
dil tujh se uTha aur tere dar se uTha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.