dil mein mere phir KHayal aata hai aaj
dil meñ mere phir ḳhayāl aatā hai aaj
koī dilbar be-misāl aatā hai aaj
kyuuñ paḌā behosh uTh hātif se ab
hai nidā sāhab-e-jamāl aatā hai aaj
sañg-e-rah huuñ ek Thokar ke liye
tis pe vo dāman sambhāl aatā hai aaj
mushtarī o zohra bāham saad haiñ
is liye abrū hilāl aatā hai aaj
tum sivā 'chandā' ke dil meñ yā alī
kis kī azmat kā jalāl aatā hai aaj
dil mein mere phir KHayal aata hai aaj
koi dilbar be-misal aata hai aaj
kyun paDa behosh uTh hatif se ab
hai nida sahab-e-jamal aata hai aaj
sang-e-rah hun ek Thokar ke liye
tis pe wo daman sambhaal aata hai aaj
mushtari o zohra baham sad hain
is liye abru hilal aata hai aaj
tum siwa 'chanda' ke dil mein ya ali
kis ki azmat ka jalal aata hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.