dil mein pahle to khaTakta na tha arman koi
dil meñ pahle to khaTaktā na thā armāñ koī
rah gayā TuuT ke shāyad tirā paikāñ koī
aa.e aa.e ruḳh-e-raushan ko chhupā.e aa.e
aa.e bikhrā.e hue zulf-e-pareshāñ koī
vo ye kahte haiñ mirī jaan rahe yā na rahe
vasl kī raat hai rah jaa.e na armāñ koī
dil rahā siine meñ jab tak rahī marne kī duā
ab ye ronā hai nahīñ ziist kā sāmāñ koī
so.e jab qabr meñ ārām se tab ham samjhe
zindagī thī ki ye thā ḳhvāb-e-pareshāñ koī
lauT jaatī hai vahīñ paañv pe aa kar bijlī
chalte chalte jo uThā letā hai dāmāñ koī
ye to maiñ kah nahīñ saktā ki vo dushman hogā
un kī mahfil se uThā ho ke pashemāñ koī
jis tarah ġham-zada 'safdar' kā janāza niklā
yuuñ bhī niklā thā kabhī ġhair kā armāñ koī
dil mein pahle to khaTakta na tha arman koi
rah gaya TuT ke shayad tera paikan koi
aae aae ruKH-e-raushan ko chhupae aae
aae bikhrae hue zulf-e-pareshan koi
wo ye kahte hain meri jaan rahe ya na rahe
wasl ki raat hai rah jae na arman koi
dil raha sine mein jab tak rahi marne ki dua
ab ye rona hai nahin zist ka saman koi
soe jab qabr mein aaram se tab hum samjhe
zindagi thi ki ye tha KHwab-e-pareshan koi
lauT jati hai wahin panw pe aa kar bijli
chalte chalte jo uTha leta hai daman koi
ye to main kah nahin sakta ki wo dushman hoga
un ki mahfil se uTha ho ke pasheman koi
jis tarah gham-zada 'safdar' ka janaza nikla
yun bhi nikla tha kabhi ghair ka arman koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.