dil mein phir wasl ke arman chale aate hain
dil meñ phir vasl ke armān chale aate haiñ
mere rūThe hue mehmān chale aate haiñ
un ke aate hī huā hasrat-o-armāñ kā hujūm
aaj mehmān pe mehmān chale aate haiñ
aap hoñ ham hoñ mai-e-nāb ho tanhā.ī ho
dil meñ rah rah ke ye armān chale aate haiñ
us ne ye kah ke mujhe duur hī se rok diyā
aap se jaan na pahchān chale aate haiñ
ruuTh baiThe haiñ magar chheḌ chalī jaatī hai
kabhī paiġhām kabhī paan chale aate haiñ
ye rahā hazrat-e-'beḳhud' kā makāñ aao chaleñ
abhī dam bhar meñ mirī jaan chale aate haiñ
dil mein phir wasl ke arman chale aate hain
mere ruThe hue mehman chale aate hain
un ke aate hi hua hasrat-o-arman ka hujum
aaj mehman pe mehman chale aate hain
aap hon hum hon mai-e-nab ho tanhai ho
dil mein rah rah ke ye arman chale aate hain
us ne ye kah ke mujhe dur hi se rok diya
aap se jaan na pahchan chale aate hain
ruTh baiThe hain magar chheD chali jati hai
kabhi paigham kabhi pan chale aate hain
ye raha hazrat-e-'beKHud' ka makan aao chalen
abhi dam bhar mein meri jaan chale aate hain
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 171)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.