dil mein pinhan gham-e-mohabbat hai
dil meñ pinhāñ ġham-e-mohabbat hai
mere pahlū meñ merī jannat hai
tark-e-ulfat ke baad samjhā maiñ
us kī duurī meñ kitnī qurbat hai
apnī manzil pe yuuñ khaḌā huuñ maiñ
jaise koī maqām-e-hairat hai
zindagī kī duā na do mujh ko
zindagī maut kī alāmat hai
dekheñ kab daar tak rasā.ī ho
haq-bayānī hamārī fitrat hai
ho agar zauq-e-bandagī sādiq
dil bhī ik markaz-e-ibādat hai
merā maslak hai dostī 'shādāñ'
har bashar se mujhe mohabbat hai
dil mein pinhan gham-e-mohabbat hai
mere pahlu mein meri jannat hai
tark-e-ulfat ke baad samjha main
us ki duri mein kitni qurbat hai
apni manzil pe yun khaDa hun main
jaise koi maqam-e-hairat hai
zindagi ki dua na do mujh ko
zindagi maut ki alamat hai
dekhen kab dar tak rasai ho
haq-bayani hamari fitrat hai
ho agar zauq-e-bandagi sadiq
dil bhi ek markaz-e-ibaadat hai
mera maslak hai dosti 'shadan'
har bashar se mujhe mohabbat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.