dil mein rah kar chhupa kare koi
dil meñ rah kar chhupā kare koī
aañkh ban kar hayā kare koī
ham ne maanā vafā kare koī
chāra-e-yās kyā kare koī
us kī shoḳhī pukāre kahtī hai
khul ga.e ham chhupā kare koī
tirī mahfil se fitna-gar kab tak
dard ban kar uThā kare koī
naaz hai apnī be-niyāzī par
vaqf-e-mehnat rahā kare koī
sabr-e-ayyūb se ġharaz kis ko
shukr-e-ne.amat adā kare koī
rashk-e-dushman bhī hai aziiz mujhe
terī bāteñ kiyā kare koī
donoñ aalam ko kyā karūñ le kar
qīmat-e-dil adā kare koī
tū bigāḌe to phir banā.e kaun
tū jo rūThe to kyā kare koī
jur.at-e-nāz tāb-farsā hai
kyā kahe aur kyā kare koī
sar-e-mahshar bhī ye taqāzā hai
haañ hamārā gilā kare koī
haa.e kis dil se kah diyā us ne
ġhair ban kar milā kare koī
daulat-e-husn-o-ishq baḌhtī jaa.e
aap koseñ duā kare koī
kaash vo intizār-e-marg sahī
dard ho kar davā kare koī
apne ā.īne se mukaddar ho
ḳhaak tum par miTā kare koī
dil huā zauq-e-dard se ḳhālī
ab namak-dāñ bharā kare koī
zaḳhm kambaḳht jī churāne lagā
namak-afshāñ huā kare koī
ai 'vafā' ba.ad mirzā-'ġhālib' ke
haañ ġhazal yuuñ likhā kare koī
dil mein rah kar chhupa kare koi
aankh ban kar haya kare koi
hum ne mana wafa kare koi
chaara-e-yas kya kare koi
us ki shoKHi pukare kahti hai
khul gae hum chhupa kare koi
teri mahfil se fitna-gar kab tak
dard ban kar uTha kare koi
naz hai apni be-niyazi par
waqf-e-mehnat raha kare koi
sabr-e-ayyub se gharaz kis ko
shukr-e-neamat ada kare koi
rashk-e-dushman bhi hai aziz mujhe
teri baaten kiya kare koi
donon aalam ko kya karun le kar
qimat-e-dil ada kare koi
tu bigaDe to phir banae kaun
tu jo ruThe to kya kare koi
jurat-e-naz tab-farsa hai
kya kahe aur kya kare koi
sar-e-mahshar bhi ye taqaza hai
han hamara gila kare koi
hae kis dil se kah diya us ne
ghair ban kar mila kare koi
daulat-e-husn-o-ishq baDhti jae
aap kosen dua kare koi
kash wo intizar-e-marg sahi
dard ho kar dawa kare koi
apne aaine se mukaddar ho
KHak tum par miTa kare koi
dil hua zauq-e-dard se KHali
ab namak-dan bhara kare koi
zaKHm kambaKHt ji churane laga
namak-afshan hua kare koi
ai 'wafa' baad mirza-'ghaalib' ke
han ghazal yun likha kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.