dil mein ruhani KHayalon ka safar jari raha
dil meñ rūhānī ḳhayāloñ kā safar jaarī rahā
tīrgī meñ bhī ujāloñ kā safar jaarī rahā
hādsoñ ne hausloñ ko bārhā rokā magar
phir bhī tere kuchh jiyāloñ kā safar jaarī rahā
ham thakan se chuur the karvaT badal kar so ga.e
niiñd meñ lekin ḳhayāloñ kā safar jaarī rahā
vaqt ke har daur se lete rahe haiñ jo ḳhirāj
aise bhī kuchh bā-kamāloñ kā safar jaarī rahā
be-hisī ke pattharoñ ko toḌne ke vāste
zindagī tere havāloñ kā safar jaarī rahā
nekiyoñ ke rāste mahdūd the masdūd the
phir bhī 'aḳhgar' ḳhush-ḳhisāloñ kā safar jaarī rahā
dil mein ruhani KHayalon ka safar jari raha
tirgi mein bhi ujalon ka safar jari raha
hadson ne hauslon ko barha roka magar
phir bhi tere kuchh jiyalon ka safar jari raha
hum thakan se chur the karwaT badal kar so gae
nind mein lekin KHayalon ka safar jari raha
waqt ke har daur se lete rahe hain jo KHiraj
aise bhi kuchh ba-kamalon ka safar jari raha
be-hisi ke pattharon ko toDne ke waste
zindagi tere hawalon ka safar jari raha
nekiyon ke raste mahdud the masdud the
phir bhi 'aKHgar' KHush-KHisalon ka safar jari raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.