dil mein sau aarman rakhta hun
dil meñ sau ārmān rakhtā huuñ
pyāre āḳhir maiñ jaan rakhtā huuñ
vāh-rī aql tujh se dushman se
dostī kā gumān rakhtā huuñ
sabr chhuT dil sab aur bātoñ maiñ
qābil-e-imtihān rakhtā huuñ
aah tere bhī dhyān meñ kuchh hai
kis qadar terā dhyān rakhtā huuñ
tujh se har baar mil ke maiñ be-sabr
na malūñ phir ye Thaan rakhtā huuñ
sirf maiñ to 'asar' bisān-e-jaras
āh-o-nāla bayān rakhtā huuñ
dil mein sau aarman rakhta hun
pyare aaKHir main jaan rakhta hun
wah-ri aql tujh se dushman se
dosti ka guman rakhta hun
sabr chhuT dil sab aur baaton main
qabil-e-imtihan rakhta hun
aah tere bhi dhyan mein kuchh hai
kis qadar tera dhyan rakhta hun
tujh se har bar mil ke main be-sabr
na malun phir ye Than rakhta hun
sirf main to 'asar' bisan-e-jaras
aah-o-nala bayan rakhta hun
- Deewan-e-asar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.