Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein tere KHulus samoya na ja saka

Hasan Akbar Kamal

dil mein tere KHulus samoya na ja saka

Hasan Akbar Kamal

MORE BYHasan Akbar Kamal

    dil meñ tire ḳhulūs samoyā na sakā

    patthar meñ is gulāb ko boyā na sakā

    baaqī haiñ is pe ab bhī purāne ġhamoñ ke aks

    chehra to āñsuoñ se bhī dhoyā na sakā

    phūloñ ke jism chhedne dāloñ se aaj tak

    ḳhushbū ko barchhiyoñ meñ piroyā na sakā

    kyā tarjumānī-e-ġham-e-duniyā kareñ ki jab

    fan meñ ḳhud apnā ġham bhī samoyā na sakā

    shab-ḳhūñ rasm aisī paḌī ahl-e-shahr meñ

    logoñ se lamha bhar ko bhī soyā na sakā

    āñkhoñ bastiyoñ meñ bhī kyā qaht-e-ashk thā

    chāhā 'kamāl' ro.eñ to royā na sakā

    dil mein tere KHulus samoya na ja saka

    patthar mein is gulab ko boya na ja saka

    baqi hain is pe ab bhi purane ghamon ke aks

    chehra to aansuon se bhi dhoya na ja saka

    phulon ke jism chhedne dalon se aaj tak

    KHushbu ko barchhiyon mein piroya na ja saka

    kya tarjumani-e-gham-e-duniya karen ki jab

    fan mein KHud apna gham bhi samoya na ja saka

    shab-KHun ki rasm aisi paDi ahl-e-shahr mein

    logon se lamha bhar ko bhi soya na ja saka

    aankhon ki bastiyon mein bhi kya qaht-e-ashk tha

    chaha 'kamal' roen to roya na ja saka

    Source :
    • Book : khizaa.n mera mausam (Pg. 55)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now