dil mein tumhaare dard ka ab silsila nahin
dil meñ tumhāre dard kā ab silsila nahīñ
tum mil ga.e to koī bhī mujh ko gila nahīñ
daulat thī mere paas to yāroñ kā thā hujūm
ġhurbat meñ koī ab mujhe pahchāntā nahīñ
garmī ne ḳhaak kar diyā har ek āshiyāñ
ma.asūm panchhiyoñ kā koī aasrā nahīñ
saj-dhaj ke kaise nikle hamārī ġhazal janāb
is anjuman meñ haa.e koī aa.ina nahīñ
mumkin hai manziloñ se bhaTak jā.ūñ maiñ 'qamar'
rāh-e-safar meñ merā koī rahnumā nahīñ
dil mein tumhaare dard ka ab silsila nahin
tum mil gae to koi bhi mujh ko gila nahin
daulat thi mere pas to yaron ka tha hujum
ghurbat mein koi ab mujhe pahchanta nahin
garmi ne KHak kar diya har ek aashiyan
masum panchhiyon ka koi aasra nahin
saj-dhaj ke kaise nikle hamari ghazal janab
is anjuman mein hae koi aaina nahin
mumkin hai manzilon se bhaTak jaun main 'qamar'
rah-e-safar mein mera koi rahnuma nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.