dil mein tumhaari yaad ki aahaT utar gai
dil meñ tumhārī yaad kī aahaT utar ga.ī
tanhā.ī kāñptī huī mujh meñ bikhar ga.ī
ham apne ghar kā haal batā.eñ to kis tarah
dīvār-o-dar kī aab to saarī utar ga.ī
zulmat kī mere chār-sū dīvār thī khaḌī
sūraj kī dhuup aa.ī idhar aur udhar ga.ī
bikhrī thī har taraf mire mahtāb kī kiran
tanhā thā is liye mirī vahshat bhī Dar ga.ī
har samt ik sukūt kā dariyā thā maujzan
sāhil pe aa ke mauj bhī andar utar ga.ī
dil mein tumhaari yaad ki aahaT utar gai
tanhai kanpti hui mujh mein bikhar gai
hum apne ghar ka haal bataen to kis tarah
diwar-o-dar ki aab to sari utar gai
zulmat ki mere chaar-su diwar thi khaDi
suraj ki dhup aai idhar aur udhar gai
bikhri thi har taraf mere mahtab ki kiran
tanha tha is liye meri wahshat bhi Dar gai
har samt ek sukut ka dariya tha maujzan
sahil pe aa ke mauj bhi andar utar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.