Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein us shoKH ke jo rah na ki

Momin Khan Momin

dil mein us shoKH ke jo rah na ki

Momin Khan Momin

MORE BYMomin Khan Momin

    dil meñ us shoḳh ke jo raah na

    ham ne bhī jaan par aah na

    parda-poshī zarūr thī ai charḳh

    kyuuñ shab-e-bul-havas siyāh na

    tishna-lab aise ham gire mai par

    ki kabhī sair-e-īd-gāh na

    us ko dushman se kyā bachā.e vo charḳh

    jis ne tadbīr-e-ḳhasf-e-māh na

    kaun aisā ki us se pūchhe kyuuñ

    pursish-e-hāl dād-ḳhvāh na

    thā bahut shauq-e-vasl ne to

    kamī ai husn tāb-gāh na

    ishq meñ kaam kuchh nahīñ aatā

    gar na hirs-o-māl-o-jāh na

    tāb-e-kam-zarf ko kahāñ tum ne

    dushmanī adū se chaah na

    maiñ bhī kuchh ḳhush nahīñ vafā kar ke

    tum ne achchhā kiyā nibāh na

    mohtasib ye sitam ġharīboñ par

    kabhī tambīh-e-bādshāh na

    girya-o-āh be-asar donoñ

    kis ne kashtī mirī tabāh na

    thā muqaddar maiñ us se kam milnā

    kyuuñ mulāqāt gaah gaah na

    dekh dushman ko uTh gayā be-dīd

    mere ahvāl par nigāh na

    'momin' is zehn-e-be-ḳhatā par haif

    fikr-e-āmurzish-e-gunāh na

    dil mein us shoKH ke jo rah na ki

    hum ne bhi jaan di par aah na ki

    parda-poshi zarur thi ai charKH

    kyun shab-e-bul-hawas siyah na ki

    tishna-lab aise hum gire mai par

    ki kabhi sair-e-id-gah na ki

    us ko dushman se kya bachae wo charKH

    jis ne tadbir-e-KHasf-e-mah na ki

    kaun aisa ki us se puchhe kyun

    pursish-e-haal dad-KHwah na ki

    tha bahut shauq-e-wasl tu ne to

    kami ai husn tab-gah na ki

    ishq mein kaam kuchh nahin aata

    gar na ki hirs-o-mal-o-jah na ki

    tab-e-kam-zarf ko kahan tum ne

    dushmani ki adu se chah na ki

    main bhi kuchh KHush nahin wafa kar ke

    tum ne achchha kiya nibah na ki

    mohtasib ye sitam gharibon par

    kabhi tambih-e-baadshah na ki

    girya-o-ah be-asar donon

    kis ne kashti meri tabah na ki

    tha muqaddar main us se kam milna

    kyun mulaqat gah gah na ki

    dekh dushman ko uTh gaya be-did

    mere ahwal par nigah na ki

    'momin' is zehn-e-be-KHata par haif

    fikr-e-amurzish-e-gunah na ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now