dil mein yaad-e-gham-e-be-karan rah gai
dil meñ yād-e-ġham-e-be-karāñ rah ga.ī
marne vaalā gayā dāstāñ rah ga.ī
nazm-e-gulshan kī pābandiyāñ al-amāñ
be-zabānī hī ban ke zabāñ rah ga.ī
'ishq kī aag kahtī hai duniyā jise
ban ke siine meñ soz-e-nihāñ rah ga.ī
'umr bhar tiir ban kar khanaktī rahī
yaad pahlū meñ un kī jahāñ rah ga.ī
ai 'amīr' uTh ke bālīñ se vo kyā ga.e
zindagī 'ishq kī be-amāñ rah ga.ī
dil mein yaad-e-gham-e-be-karan rah gai
marne wala gaya dastan rah gai
nazm-e-gulshan ki pabandiyan al-aman
be-zabani hi ban ke zaban rah gai
'ishq ki aag kahti hai duniya jise
ban ke sine mein soz-e-nihan rah gai
'umr bhar tir ban kar khanakti rahi
yaad pahlu mein un ki jahan rah gai
ai 'amir' uTh ke baalin se wo kya gae
zindagi 'ishq ki be-aman rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.