dil mein zaKHmon ki nai fasl ugane nikle
dil meñ zaḳhmoñ kī na.ī fasl ugāne nikle
dard ke phuul bayābāñ meñ khilāne nikle
har imārat pe na.e saal kā katba dekhā
pahuñche nazdīk to āsār purāne nikle
pahle har dar pe rakhe sho.ala-bayānī ke diye
jal uThā shahr to phir aag bujhāne nikle
chāñd jab ruuTh ke ruḳhsat huā bām-o-dar se
log tapte hue sūraj ko manāne nikle
har qadam talḳhī-e-ta.abīr ke patthar barse
ḳhvāb-zāroñ ko kabhī ham jo sajāne nikle
dil ne jab qaid-e-ta.alluq se rihā.ī māñgī
qurbatoñ ke liye kuchh aur bahāne nikle
dil mein zaKHmon ki nai fasl ugane nikle
dard ke phul bayaban mein khilane nikle
har imarat pe nae sal ka katba dekha
pahunche nazdik to aasar purane nikle
pahle har dar pe rakhe shoala-bayani ke diye
jal uTha shahr to phir aag bujhane nikle
chand jab ruTh ke ruKHsat hua baam-o-dar se
log tapte hue suraj ko manane nikle
har qadam talKHi-e-tabir ke patthar barse
KHwab-zaron ko kabhi hum jo sajaane nikle
dil ne jab qaid-e-talluq se rihai mangi
qurbaton ke liye kuchh aur bahane nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.