dil mera KHwab-gah-e-dilbar hai
dil mirā ḳhvāb-gāh-e-dilbar hai
bas yahī ek sone kā ghar hai
zulfeñ muñh par haiñ muñh hai zulfoñ meñ
raat bhar sub.h shaam din bhar hai
chashm-e-insāf se nazāra kar
ek qatra yahāñ samundar hai
bahut iizā uThā.ī furqat kī
ab nahīñ iḳhtiyār dil par hai
dekh kar chāñd sā tumhārā muñh
ā.īna merī tarah shashdar hai
dil milā.ūñ maiñ kyā tire dil se
ek shīsha hai ek patthar hai
dil mera KHwab-gah-e-dilbar hai
bas yahi ek sone ka ghar hai
zulfen munh par hain munh hai zulfon mein
raat bhar subh sham din bhar hai
chashm-e-insaf se nazara kar
ek qatra yahan samundar hai
bahut iza uThai furqat ki
ab nahin iKHtiyar dil par hai
dekh kar chand sa tumhaara munh
aaina meri tarah shashdar hai
dil milaun main kya tere dil se
ek shisha hai ek patthar hai
- Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 60)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.