dil mera mail-e-arzu ho gaya
dil mirā mā.il-e-ārzū ho gayā
jab mire yaar ke rū-ba-rū ho gayā
dāman-e-dil mirā chaak thā yak-ba-yak
un kī nazar-e-karam se rafū ho gayā
vo jise maiñ ne dekhā nahīñ thā kabhī
aaj vo hī mirī justujū ho gayā
ḳhuub dil se sunīñ us ne bāteñ mirī
aaj maiñ lā.eq-e-guftugū ho gayā
jab tasavvur meñ tasvīr-e-yār aa ga.ī
ik ujālā mire chaar sū ho gayā
be-takalluf hue mujh se jab vo to maiñ
aap se tum huā tum se tū ho gayā
zikr-e-'anjum' huā jab tirī bazm meñ
tab se vo sāhib-e-ābrū ho gayā
dil mera mail-e-arzu ho gaya
jab mere yar ke ru-ba-ru ho gaya
daman-e-dil mera chaak tha yak-ba-yak
un ki nazar-e-karam se rafu ho gaya
wo jise main ne dekha nahin tha kabhi
aaj wo hi meri justuju ho gaya
KHub dil se sunin us ne baaten meri
aaj main laeq-e-guftugu ho gaya
jab tasawwur mein taswir-e-yar aa gai
ek ujala mere chaar su ho gaya
be-takalluf hue mujh se jab wo to main
aap se tum hua tum se tu ho gaya
zikr-e-'anjum' hua jab teri bazm mein
tab se wo sahib-e-abru ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.