Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mera phir dukha diya kin ne

Khwaja Meer Dard

dil mera phir dukha diya kin ne

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    dil mirā phir dukhā diyā kin ne

    so gayā thā jagā diyā kin ne

    maiñ kahāñ aur ḳhayāl-e-bosa kahāñ

    muñh se muñh yuuñ bhiḌā diyā kin ne

    vo mire chāhne ko kyā jaane

    ye sandesā sunā diyā kin ne

    ham bhī kuchh dekhte samajhte the

    sab yakāyak chhupā diyā kin ne

    vo bulā.e se bhāgtā thā aur

    'dard' tujh tak bulā diyā kin ne

    dil mera phir dukha diya kin ne

    so gaya tha jaga diya kin ne

    main kahan aur KHayal-e-bosa kahan

    munh se munh yun bhiDa diya kin ne

    wo mere chahne ko kya jaane

    ye sandesa suna diya kin ne

    hum bhi kuchh dekhte samajhte the

    sab yakayak chhupa diya kin ne

    wo bulae se bhagta tha aur

    'dard' tujh tak bula diya kin ne

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    dil mera phir dukha diya kin ne Fasih Akmal

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now