dil mohabbat mein mubtala bhi nahin
dil mohabbat meñ mubtalā bhī nahīñ
dūsrā koī rāsta bhī nahīñ
dil tirī raah dekhtā hai magar
phir koī raah dekhtā bhī nahīñ
chhīn kar le ga.e the jo mujh se
vo charāġh un ke ghar jalā bhī nahīñ
darmiyāñ rābta nahīñ lekin
darmiyāñ koī fāsla bhī nahīñ
'umr bhar jis ko chāhtā thā 'piyūsh'
vo kabhī dastaras meñ thā bhī nahīñ
dil mohabbat mein mubtala bhi nahin
dusra koi rasta bhi nahin
dil teri rah dekhta hai magar
phir koi rah dekhta bhi nahin
chhin kar le gae the jo mujh se
wo charagh un ke ghar jala bhi nahin
darmiyan rabta nahin lekin
darmiyan koi fasla bhi nahin
'umr bhar jis ko chahta tha 'piyush'
wo kabhi dastaras mein tha bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.