dil mohabbat mein mubtala ho jae
dil mohabbat meñ mubtalā ho jaa.e
jo abhī tak na ho sakā ho jaa.e
tujh meñ ye aib hai ki ḳhūbī hai
jo tujhe dekh le tirā ho jaa.e
ḳhud ko aisī jagah chhupāyā hai
koī DhūñDhe to lāpatā ho jaa.e
maiñ tujhe chhoḌ kar chalā jā.ūñ
saayā dīvār se judā ho jaa.e
bas vo itnā kahe mujhe tum se
aur phir call munqata.a ho jaa.e
dil bhī kaisā daraḳht hai 'hāfī'
jo tirī yaad se harā ho jaa.e
dil mohabbat mein mubtala ho jae
jo abhi tak na ho saka ho jae
tujh mein ye aib hai ki KHubi hai
jo tujhe dekh le tera ho jae
KHud ko aisi jagah chhupaya hai
koi DhunDhe to lapata ho jae
main tujhe chhoD kar chala jaun
saya diwar se juda ho jae
bas wo itna kahe mujhe tum se
aur phir call munqata ho jae
dil bhi kaisa daraKHt hai 'hafi'
jo teri yaad se hara ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.