dil munafiq tha shab-e-hijr mein soya kaisa
dil munāfiq thā shab-e-hijr meñ soyā kaisā
aur jab tujh se milā TuuT ke royā kaisā
zindagī meñ bhī ġhazal hī kā qarīna rakkhā
ḳhvāb-dar-ḳhvāb tire ġham ko piroyā kaisā
ab to chehroñ pe bhī katboñ kā gumāñ hotā hai
āñkheñ pathrā.ī huī haiñ lab-e-goyā kaisā
dekh ab qurb kā mausam bhī na sarsabz lage
hijr hī hijr marāsim meñ samoyā kaisā
ek aañsū thā ki dariyā-e-nadāmat thā 'farāz'
dil se bebāk shanāvar ko Duboyā kaisā
dil munafiq tha shab-e-hijr mein soya kaisa
aur jab tujh se mila TuT ke roya kaisa
zindagi mein bhi ghazal hi ka qarina rakkha
KHwab-dar-KHwab tere gham ko piroya kaisa
ab to chehron pe bhi katbon ka guman hota hai
aankhen pathrai hui hain lab-e-goya kaisa
dekh ab qurb ka mausam bhi na sarsabz lage
hijr hi hijr marasim mein samoya kaisa
ek aansu tha ki dariya-e-nadamat tha 'faraaz'
dil se bebak shanawar ko Duboya kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.