Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-murda dil nahin hai ise zinda kar dubara

Allama Iqbal

dil-e-murda dil nahin hai ise zinda kar dubara

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    (Islam aur Musalman) (Zarb-e-Kalim)

    dil-e-murda dil nahīñ hai ise zinda kar dubāra

    ki yahī hai ummatoñ ke marz-e-kuhan chāra

    tirā bahr pur-sukūñ hai ye sukūñ hai fusūñ hai

    na nahang hai na tūfāñ na ḳharābī-e-kināra

    zamīr-e-āsmāñ se abhī āshnā nahīñ hai

    nahīñ be-qarār kartā tujhe ġhamza-e-sitāra

    tire nīstāñ meñ Daalā mire naġhma-e-sahar ne

    mirī ḳhaak pai-sipar meñ jo nihāñ thā ik sharāra

    nazar aa.egā usī ko ye jahān-e-dosh-o-fardā

    jise aa ga.ī mayassar mirī shoḳhi-e-nazāra

    dil-e-murda dil nahin hai ise zinda kar dubara

    ki yahi hai ummaton ke marz-e-kuhan ka chaara

    tera bahr pur-sukun hai ye sukun hai ya fusun hai

    na nahang hai na tufan na KHarabi-e-kinara

    tu zamir-e-asman se abhi aashna nahin hai

    nahin be-qarar karta tujhe ghamza-e-sitara

    tere nistan mein Dala mere naghma-e-sahar ne

    meri KHak pai-sipar mein jo nihan tha ek sharara

    nazar aaega usi ko ye jahan-e-dosh-o-farda

    jise aa gai mayassar meri shoKHi-e-nazara

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now