dil na baiThe use duniya ke KHazane se uTha
dil na baiThe use duniyā ke ḳhazāne se uThā
dekh ik shai bhī na is ā.ina-ḳhāne se uThā
naza.a kā karb huā kaif-e-dam-e-bāz-pasīñ
le ke siskī jo koī mere sirhāne se uThā
haa.e ab kaun sahe hañs ke mire jaur-o-sitam
shor-e-mātam mire marne kā zamāne se uThā
ishq kā dard na bardāsht kareñ dasht-o-jabal
bār-e-ġham ye bhī magar tere divāne se uThā
tai huī rāh-e-vafā jumbish-e-abrū ke nisār
zindagī bhar kā thā ik bojh jo shāne se uThā
ḳhuun se ḳhaak pe likkhī ga.ī tafsīr-e-hayāt
yā-husain aap kā naam aur miTāne se uThā
dar-e-jannat pe kahā qudsī se rizvāñ ne yahī
jaane kis ḳhvāb meñ thā 'barq' jagāne se uThā
dil na baiThe use duniya ke KHazane se uTha
dekh ek shai bhi na is aaina-KHane se uTha
naza ka karb hua kaif-e-dam-e-baz-pasin
le ke siski jo koi mere sirhane se uTha
hae ab kaun sahe hans ke mere jaur-o-sitam
shor-e-matam mere marne ka zamane se uTha
ishq ka dard na bardasht karen dasht-o-jabal
bar-e-gham ye bhi magar tere diwane se uTha
tai hui rah-e-wafa jumbish-e-abru ke nisar
zindagi bhar ka tha ek bojh jo shane se uTha
KHun se KHak pe likkhi gai tafsir-e-hayat
ya-husain aap ka nam aur miTane se uTha
dar-e-jannat pe kaha qudsi se rizwan ne yahi
jaane kis KHwab mein tha 'barq' jagane se uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.