dil na kare agar yaqin dil pe hai iKHtiyar kya
dil na kare agar yaqin dil pe hai iKHtiyar kya
Syed Akhtar Ali Akhtar
MORE BYSyed Akhtar Ali Akhtar
dil na kare agar yaqīñ dil pe hai iḳhtiyār kyā
aap pe e.atibār hai va.ade kā e.atibār kyā
raakh paḌī to dab gayā raakh haTī bhaḌak uThā
sho.ale kī raushnī hī kyā sho.ale kā e.atibār kyā
manzil-e-ġham kā ban gayā rāh-numā junūn-e-shauq
hosh kā aasrā ġhalat hosh kā e.atibār kyā
aa.ina aks ke baġhair kaise bhalā chamak sake
jalva-fagan nahīñ huā partav-e-husn-e-yār kyā
kaisā bikhar ke rah gayā husn-e-tilism-e-rang-o-bū
toḌ diyā ḳhizāñ ne aaj ā.ina-e-bahār kyā
hijr kī raat kaT ga.ī yaas meñ aur aas meñ
sub.h-e-payām lā.egī 'aḳhtar'-e-be-qarār kyā
dil na kare agar yaqin dil pe hai iKHtiyar kya
aap pe eatibar hai wade ka eatibar kya
rakh paDi to dab gaya rakh haTi bhaDak uTha
shoale ki raushni hi kya shoale ka eatibar kya
manzil-e-gham ka ban gaya rah-numa junun-e-shauq
hosh ka aasra ghalat hosh ka eatibar kya
aaina aks ke baghair kaise bhala chamak sake
jalwa-fagan nahin hua partaw-e-husn-e-yar kya
kaisa bikhar ke rah gaya husn-e-tilism-e-rang-o-bu
toD diya KHizan ne aaj aaina-e-bahaar kya
hijr ki raat kaT gai yas mein aur aas mein
subh-e-payam laegi 'aKHtar'-e-be-qarar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.