dil-nagar mein bhi aaiye sahib
dil-nagar meñ bhī aa.iye sāhib
varna āñkhoñ se jā.iye sāhib
jī uTheñge hazār-hā manzar
sirf palkeñ uThā.iye sāhib
maiñ girā to zamāna uTThegā
baat dil meñ biThā.e sāhib
is jagah TūT-phūT rahtī hai
mere dil meñ na aa.iye sāhib
ḳhaak haiñ aap kī hathelī par
jaise chāhe uḌā.iye sāhib
maiñ na bolā to kaun bolegā
aap ḳhud hī batā.iye sāhib
ham se duniyā to ruuTh baiThī hai
aap hī maan jā.iye sāhib
dil-nagar mein bhi aaiye sahib
warna aankhon se jaiye sahib
ji uThenge hazar-ha manzar
sirf palken uThaiye sahib
main gira to zamana uTThega
baat dil mein biThae sahib
is jagah TuT-phuT rahti hai
mere dil mein na aaiye sahib
KHak hain aap ki hatheli par
jaise chahe uDaiye sahib
main na bola to kaun bolega
aap KHud hi bataiye sahib
hum se duniya to ruTh baiThi hai
aap hi man jaiye sahib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.