dil ne jab bhi tera KHayal kiya
dil ne jab bhī tirā ḳhayāl kiyā
ḳhud ko ā.īna-e-jamāl kiyā
dil kī dhaḌkan meñ bas gayā aise
saañs lenā mirā muhāl kiyā
maiñ ne sach bolne kī jur.at kī
sach sunā aap ne kamāl kiyā
terī yādeñ mirī muhāfiz haiñ
terī yādoñ ko maiñ ne Dhaal kiyā
terī chāhat ke lamhe lamhe ko
dil ne mānind-e-māh-o-sāl kiyā
vaqt ne kab use rakhā zinda
kaam jis ne jo be-ma.āl kiyā
terī qurbat meñ biite lamhoñ ne
mujh ko bhī sāhab-e-jamāl kiyā
aa.ine ne tirā qasīda kahā
aa.ina jab kabhī misāl kiyā
ek hī thā javāb husn ke paas
husn se jis ne bhī savāl kiyā
zindagī kā hai sāneha 'rūmī'
dil kī tanhā.ī ne niDhāl kiyā
dil ne jab bhi tera KHayal kiya
KHud ko aaina-e-jamal kiya
dil ki dhaDkan mein bas gaya aise
sans lena mera muhaal kiya
main ne sach bolne ki jurat ki
sach suna aap ne kamal kiya
teri yaaden meri muhafiz hain
teri yaadon ko main ne Dhaal kiya
teri chahat ke lamhe lamhe ko
dil ne manind-e-mah-o-sal kiya
waqt ne kab use rakha zinda
kaam jis ne jo be-maal kiya
teri qurbat mein bite lamhon ne
mujh ko bhi sahab-e-jamal kiya
aaine ne tera qasida kaha
aaina jab kabhi misal kiya
ek hi tha jawab husn ke pas
husn se jis ne bhi sawal kiya
zindagi ka hai saneha 'rumi'
dil ki tanhai ne niDhaal kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.