dil ne kar di hai KHam jabin aa ja
dil ne kar dī hai ḳham jabīñ aa jā
ai mirī ruuh ke makīñ aa jā
dil hai shīshe kā hijr patthar sā
dard kī paar kar zamīñ aa jā
bin tire be-samar hayātī hai
dil kī banjar huī zamīñ aa jā
tujh ko iḳhlās se pukārā hai
sun ke āvāz ham-nashīñ aa jā
aarzū dil kī diid ho terī
sun mire māh-rū hasīñ aa jā
ishq ik raaz ban gayā jab se
chain pal bhar ko bhī nahīñ aa jā
ruuh kā 'shāz' vo jo mahram hai
us se kah do ki dil-nashīñ aa jā
dil ne kar di hai KHam jabin aa ja
ai meri ruh ke makin aa ja
dil hai shishe ka hijr patthar sa
dard ki par kar zamin aa ja
bin tere be-samar hayati hai
dil ki banjar hui zamin aa ja
tujh ko iKHlas se pukara hai
sun ke aawaz ham-nashin aa ja
aarzu dil ki did ho teri
sun mere mah-ru hasin aa ja
ishq ek raaz ban gaya jab se
chain pal bhar ko bhi nahin aa ja
ruh ka 'shaz' wo jo mahram hai
us se kah do ki dil-nashin aa ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.