dil ne kis manzil-e-be-nam mein chhoDa tha mujhe
dil ne kis manzil-e-be-nām meñ chhoḌā thā mujhe
raat bhar ḳhud mire saa.e ne bhī DhūñDā thā mujhe
mujh ko hasrat ki haqīqat meñ na dekhā us ko
us ko nārāzgī kyuuñ ḳhvāb meñ dekhā thā mujhe
ajnabī ban ke sar-e-rāh milā thā jo abhī
ye vahī shaḳhs hai jis ne kabhī chāhā thā mujhe
jab bhī tanhā.ī mile ā.īna hai yā maiñ huuñ
us ne kis aan se kis aan meñ dekhā thā mujhe
jin se bhāgā thā vahī sūrateñ phir sāmne haiñ
kaun sī qabr meñ duniyā ne utārā thā mujhe
vo faqat mere liye paidā hue haiñ 'shohrat'
kaun sā lamha thā jab vahm ye guzrā thā mujhe
dil ne kis manzil-e-be-nam mein chhoDa tha mujhe
raat bhar KHud mere sae ne bhi DhunDa tha mujhe
mujh ko hasrat ki haqiqat mein na dekha us ko
us ko naraazgi kyun KHwab mein dekha tha mujhe
ajnabi ban ke sar-e-rah mila tha jo abhi
ye wahi shaKHs hai jis ne kabhi chaha tha mujhe
jab bhi tanhai mile aaina hai ya main hun
us ne kis aan se kis aan mein dekha tha mujhe
jin se bhaga tha wahi suraten phir samne hain
kaun si qabr mein duniya ne utara tha mujhe
wo faqat mere liye paida hue hain 'shohrat'
kaun sa lamha tha jab wahm ye guzra tha mujhe
- Book : shab-e-aaina (Pg. 242)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.