dil ne phir chaha ujale ka samundar hona
dil ne phir chāhā ujāle kā samundar honā
phir amāvas ko milā merā muqaddar honā
dosto maiñ to na mānūñgā vo hai ḳhushk-mizāj
us ne āñkhoñ ko sikhāyā hai mirī tar honā
aaj sunte haiñ vo mā.il-ba-karam aa.egā
ai mirī ruuh mire jism ke andar honā
mere hoñToñ pe jamī pyaas gavāhī degī
maiñ ne qatre ko sikhāyā thā samundar honā
mujh se is baar miloge to samajh jāoge
kaisā hotā hai kisī shaḳhs kā patthar honā
dil ne phir chaha ujale ka samundar hona
phir amawas ko mila mera muqaddar hona
dosto main to na manunga wo hai KHushk-mizaj
us ne aankhon ko sikhaya hai meri tar hona
aaj sunte hain wo mail-ba-karam aaega
ai meri ruh mere jism ke andar hona
mere honTon pe jami pyas gawahi degi
main ne qatre ko sikhaya tha samundar hona
mujh se is bar miloge to samajh jaoge
kaisa hota hai kisi shaKHs ka patthar hona
- Book : Sare waraq tumhare (Pg. 55)
- Author : Tufail Chaturvedi
- Publication : National Publishing House (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.