dil ne rone ka ehtimam kiya
dil ne rone kā ehtimām kiyā
merī āñkhoñ se yuuñ kalām kiyā
dukh bhī chehre pe oḌh kar rakkhā
tere ġham ko bhī aise aam kiyā
ashk utrā to ḳhuun jamne lagā
tan badan ko yuuñ niil faam kiyā
ham kabhī niiñd bhar na so paa.e
raat jaage to din meñ kaam kiyā
phuul ḳhush-rañg the sabhī lekin
ham ko ik ḳhaar ne ġhulām kiyā
sarv-qāmat bhī sajda rez hue
vaqt āñdhī ne aisā kaam kiyā
dil ne rone ka ehtimam kiya
meri aankhon se yun kalam kiya
dukh bhi chehre pe oDh kar rakkha
tere gham ko bhi aise aam kiya
ashk utra to KHun jamne laga
tan badan ko yun nil fam kiya
hum kabhi nind bhar na so pae
raat jage to din mein kaam kiya
phul KHush-rang the sabhi lekin
hum ko ek KHar ne ghulam kiya
sarw-qamat bhi sajda rez hue
waqt aandhi ne aisa kaam kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.